Ever think of how, when you strum a guitar, the tune doesn't leave the string for some time. It clings on, it fills the air, and it lingers around for a while.That's where this verse started for me...
Ek taar pe dhun jo chid jaaye,
Itni jaldi chhod ke na jaa paaye,
Dhun koi mann ko bhaaye,
Toh mann mein basera kar jaaye.
Hawa mein mehek jab saje,
ghanton woh leher bhatakti rahe,
Khushboo se koi kheencha chala aaye,
Duur jaakar bhi woh bichad na paaye.
Saaya toh kuch hi pal rehta,
Par pair mitti mein ishaare rakh jaaye.
Khayaalon mein chori se koi aa toh hai gaya,
Mushkil yeh hai ki kahin woh kaid hi na reh jaye.
- © Haem Roy
1st April, 2012.
Ek taar pe dhun jo chid jaaye,
Itni jaldi chhod ke na jaa paaye,
Dhun koi mann ko bhaaye,
Toh mann mein basera kar jaaye.
Hawa mein mehek jab saje,
ghanton woh leher bhatakti rahe,
Khushboo se koi kheencha chala aaye,
Duur jaakar bhi woh bichad na paaye.
Saaya toh kuch hi pal rehta,
Par pair mitti mein ishaare rakh jaaye.
Khayaalon mein chori se koi aa toh hai gaya,
Mushkil yeh hai ki kahin woh kaid hi na reh jaye.
1st April, 2012.
No comments:
Post a Comment