Jan 6, 2012

WOH DIN


Halak mein atke hain kuch beete hue pal,
Saans le chale phir ussi kal.
Jahaan sardi ki dhoop si thi khushiyon ki garmaahat,
Jahaan koi na ho, phir bhi hamesha thi aahat.
Bas baithe baithe khud par hans lete zara,
Chaahe aasman gir jaaye, kisse thi parvaah?

Par phir aaya ek din, jab aahat na koi,
Neend mein achaanak uth padoon,
Koi hai? Lagta hai koi aawaz suni!
Har taraf dhoondha, kahin yeh meri kalpana toh nahi?
Sapnon ko pukaarte,
Khudko dhakela neend ki galli.

Subah hui aur aankhein dhoondein wohi dhoop,
Par thand ne thithur di meri rooh.
Mann se ki dua ki yeh sirf ho ek maaya,
Palak jhukaayi aur kuch mehsoos hua.
Lagta hai sirhaane aakhir koi aaya?
Kaun aaya? Kaun aaya?
Bas Khaalipan ka saaya.

- © HAEM ROY

6 Jan 2011.

6 comments:

Just Another Guy said...

Khalipan ka saya
Yeh nahi koi paraya

Yahi ek who saathi wafadar
Jo karta humara roz besabri se intezaar

Isse thukrao nahi, Isse apna bano
befizul dil ko samjhao nahi, iski aaghosh mein ghool jao

Haemlet said...

Wah wah wah wah!

Aaghosh mein ghulna toh chaahe hum zaroor,
Par kambakht yaadon ka bhi kya karein,
Har saaye mein jo dhoondhe woh puraana saathi,
Aisi aarzoo ka bhi hum kya karein.

Just Another Guy said...

u r bloody damn good .. :)

is arzoo mein bhi ek luft hain
is khalipan mein bhi ek maza hain

bhagti daudti is zindagi ke uljhan mein.. yahi arzoo yahi khaipaan deta na janne ek kaisa sukoon

yahi ha toh jo phir tumhara haath thambey kehta ..ek main hi toh hoon sach .. baaki sab toh hain ek khokla junnon

vC said...

waah haem..loved it truly

Haemlet said...

@Just Another Guy - :D

Khaalipan mein mazza hai, par bas pal do pal ka,
Phir dhoondhne lagti hain aankhein koi hulchul,
Insaan ki fidrat hai aakhir ke akeli basti mein,
Woh dhoondhne niklega dushman ya dost aaj ya kal.

Just Another Guy said...

bematlab ki dushmani se dil koi chhahat nahi.. aur na matalab ke doston ko is dil se hain ...

main manta hoon shayad is basti mein akela ek main hi nahi... hum jaise dewaney aur bhi hain

unki bhi ek kahani hain ... unka bhi ek mudda hain .. par koi awaz nahi .. koi chehra nahi ...

dar lagta hai in andhero kahi kho na jayen ... phir koi ummed kahi is dil se ho na jaayen