Dec 9, 2010

Kahaan chal pade

Galiyon ki mehek mein huye aise mashroof
Ke sadakon ka pata hum bhool gaye,
Fiza ki madhoshi mein kho hi gaye,
ke lamhon ka pata bhi bhool gaye.
  
Saundhi mitti ki khushboo bichi,
Aankhen moond hum kheeche chale,
Oas ki boondon se baatein karein,
Hariyali ki chadar par daude chale.

Patli si sadak bhi chhoot gayi,
Khushi khushi hum gum hi gaye,
Neeli chadar odh, hare bichawan par,
Thake tab do saans late gaye.

Raat ki surrati hawa suni,
Mausam jaise dharti se kare baatein,
Meethi yeh boli mein aise khoye,
Ghar wapas kaun jaana chaahe.

- © HAEM ROY

1 comment:

vC said...

nice one..
i like more of your hindi poems than the english ones..

u r an artist for sure!