Sep 20, 2012

Sarakte Pal

Sarakte pal nishaan chhod gaye,
Mitti mein lakeerein,
Hawa mein paigaam chhod gaye.
In palon ki kahaani bhi kya bataaun tumhe,
Mutthi mein band saara jahaan chhod gaye.


Simatkar baithi hain woh ankahi baatein,
Cheekhe kaise dekho yeh chugalkhor saansein,
Dabe paon andar aaye,
Phir bhi saari khamoshi tod gaye.


Sarakte pal nishaan chhod gaye,
Mitti mein lakeerein,
Hawa mein paigaam chhod gaye.


Baatuni palkein chup rehna na jaane,
Machalti rahein badal ke sirhaane,
Hansi ki chitthiyan laaye,
Pannon se shabd hi saare daud gaye.


Sarakte pal nishaan chhod gaye,
Mitti mein lakeerein,
Hawa mein paigaam chhod gaye.


- © Haem Roy

3 comments:

Unknown said...

I enjoyed reading this.
More poems! [less recipes unless you cook for me]

Haemlet said...

:)Yes sire!
Poetry shall be written.
Thank you for reading.

Anonymous said...

Us pal mein zindagi yeh kahin kho gayi hai aaj; Jis pal mein tumne chhu ke mujhe khole the apne raaz...

Andesha tab bhi yeh tha ki pal-do-pal ka hi hai saath; Jaane kya soch kar hum chalte rahe janaab...

Aur aaj is makaam pe pahonche ki na tum na main; ek-doosre ke ho ke bhi hai ek ajnabee si baat...