Sep 20, 2012

Sarakte Pal

Sarakte pal nishaan chhod gaye,
Mitti mein lakeerein,
Hawa mein paigaam chhod gaye.
In palon ki kahaani bhi kya bataaun tumhe,
Mutthi mein band saara jahaan chhod gaye.


Simatkar baithi hain woh ankahi baatein,
Cheekhe kaise dekho yeh chugalkhor saansein,
Dabe paon andar aaye,
Phir bhi saari khamoshi tod gaye.


Sarakte pal nishaan chhod gaye,
Mitti mein lakeerein,
Hawa mein paigaam chhod gaye.


Baatuni palkein chup rehna na jaane,
Machalti rahein badal ke sirhaane,
Hansi ki chitthiyan laaye,
Pannon se shabd hi saare daud gaye.


Sarakte pal nishaan chhod gaye,
Mitti mein lakeerein,
Hawa mein paigaam chhod gaye.


- © Haem Roy

Sep 11, 2012

Tumhare khayaal

Sehmi sehmi saansein,
pallu se bandhi tanhaayi,
sannate ki muslaadhar baarish,
aur tumhaare khayaalon ki razai.

Maayusi ki oas boondein,
badan par geeli sari,
darr se thithurta man,
aur tumhari chaahat ki dhoop.

Aahein bhare ye mann,
siskiyon se bayaan kare apna haal,
bhatakti raah mein gumraah hum,
aur tumhaari aawaz ki mashaal.

- © Haem Roy