Sep 29, 2011

Wajah

Zindagi mein bas saans lene ki wajah dhoondhti rehti hoon main,
Har ghadi bas jeene ki nayi wajah dhoondhti rehti hoon main.

Phoolon ki mehek mujhe agle mod tak le chale,
Hawa ka jhonka mujhe do saans aur de.
Pyaar ka pehla ehsaas mujhe mein ek nayi jaan bhare,
Khumaari si jo aaye, kahe thoda aur jeeya jaaye.

Khojti rahoon har pal kuch naya, kuch alag,
Maksat mile toh kuch pal ki ho raahat,
Warna bechaini sada, jhapke na meri palak,
Bas taak mein rahoon, shaayad mile junoon ki aahat.

Sthir na rahe yeh mann hai ek bhatakta raahi,
Talaash ho har pal ek naye gaanv ki,
Kal ek alag mod se hogi mulaaqat,
Yehi subah uthne ki wajah bann jaati.

Har raat sitaare mujhe banaa de chitrakaar,
Baadal ka peecha kar, sukhe paate si udta rahoon,
Jigyaasa hai amrit, jo mujhe zinda rakhe,
Indradhanush ki khoj mein hi jeevan rangeen banaaun.
  
Zindagi mein bas saans lene ki wajah dhoondhti rehti hoon main,
Har ghadi bas jeene ki nayi wajah dhoondhti rehti hoon main.

- © HAEM ROY

Sep 8, 2011

Ojhal Mann

Ek choti si jhapki jab aankhon mein basi,
Mann chala phir khwabon ki oar,
Manzil kahaan kisse hai fikar,
humein toh bas hai safar ka nasha...
dharti se humein baandhe hai bas ek patli si dor.

Door kahin ek chamak si dikhi,
Ban gayi wohi manzil agli.
Aankhen tez, aur lakshya par nazar,
Chal pade hum ban gaya woh ek safar.

Pahunche jab wahaan, toh chamak na thi kahin,
Bas halki si dhoop aur hawa mein nami,
Do pal lekar saans phir mann ne bhari udaan,
Ab kahaan chale, dhoondhe kaunsa dwaar.

Kabhi na bharta, kabhi na khush,
Mann yeh behte paani sa ojhal,
Raah badalta, na aage ka pata,
Bas chalta hai na jaane kiski khoj mein,
Bas behta hai sapnon ko sach samjhe.

- © HAEM ROY