Apr 10, 2008

Kuch Lamhe

Some nazms that I penned some time ago

KUCH LAMHE:
1) Taaron ki shaant timtimaahat
Aur andhere sannate ke beech
Uthti awaaz jo failaye madhoshi
Andhadhun samaa mein hai ye roshni ki nazuk aahat

2) Suryoday gagan ki rangeen chadar odhe
Raat ki thand mein garmahat ka aagman
Oas ab kho rahe apna astitva
Ruke nahin jeevan ka chalan, bas ab dikhai pade

3) Ped ke patton mein dhup ki luka-chippi
Kabhi kabhi vayu maharaj ki dakhal andazi
Thake musafir aur ped ka saath to suna sunaya hai
Par dhup aur vayu hi hain is rahi ke humrahi

4) Varsha mein paani ki boondein khelti ajab raas
Kabhi tez ya madhdham koi na keh pata
Josh mein aa gayee to sab Ram-bharose
Aas-paas na dekhti kuch… anjaam sarvanash

5) Phool jab pathjad ke hruday se khilte
Toh soonepan ko chod dete soona
Par gar hota na pathjad bahaar se pehle
Toh kya phool itni muskuraahat faila pate?

6) Saanjh ki lapet mein phir sab aane lage
Kuch jeev shuru, kuch thame, par jeevan toh abhi bhi chale
Bheeni mitti ki mahek ghulti raatrani ki sugandh se
Sab kuch abhi bhi sada-sa manmohit lage

7) Subah uthte hi palkon ke saamne chaye dhundhlapan
Sapnon ki duniya ke nishaan abhi bhi
Nidra aur jaagran ke beech ki ajab sthiti
Jab hosh dagmagaata, shantata ke dariya mein behekta man

8) Palkein jhapakte hi, oas ki boonden khaari,
Khud mein koi raaz samaaye,
Girte aur ho jaate hain ye toh nadaarad
Par de jaate hain ahsaas halke, jab ho jaati hain yaadein bhaari

9) Madhraatra… Kehte hain ki hai sannaata
Toh phir kya hai vo jantuon ki nishani
Woh tarraana, madhur awaazein
Aisa anokha shor kyon koi na sun paata?

10) Ant kabhi ho sakta hai samaapt?
Kya shuruaat bhi nahin anth ka aagman?
Chakravyuh mein ghoom, vipda mein phase
Gar yahi sochne baithe, toh kya manzil hogi praapt?
- © HAEM ROY 

No comments: